SEO Me Keyword Density Kya Hai Aur Blog Post Yeh Kitni Rakhni Chahye

Apni last post me mai keyword kya hota hai aur yeh blog post ke liye kyu important hai, ke bare me aapko bta chuka hu. Shayd aapko yaad hoga us post me mene density word ka bhi jikar kiya tha. Aaj mai aapko topic ke bare me batane wala hu ke keyword density kya hota hai aur ek perfect seo optimized post likhne ke liye usme use hone wale har word ki density kitni (limit) honi chahye.

Google par top ranking results pane aur Seo friendly posts likhne ke liye search engine optimization ke sabhi rules and instructions ko follow karna padta hai. Isi me keyword density seo ka ek aisi technique hai jise ignore nahi kiya ja sakta.

Mene is site me seo ke bare me pehle hi on page SEO, off page SEO, white hat vs. black hat SEO, image optimization, anchor text, backlinks etc. ke bare me articles likh chuka hu. Jise aap SEO category me jakar padh sakte ho.

SEO Me Keyword Density Kya Hai – Basic Introduction

Blog post me jitne bhi words add kiye jate hai. Umse included har ek word ki percentage ko keyword density kehte hai

Simple shabdo me kahu toh hum apne content me har word ko jitni baar mention karte hai woh percentage keyword density kehlata hai.

Blog Post Me Keyword Density Kitne Percent Honi Chahye – Iski Limit Kya Rakhe

Jab aap new blog post ka apni knowledge ke hisaab se search engine optimized karke publish karte hai. Aur asha karte hai ke ab humara post search engine me top rank par show hoga.

Par jab Google post ko index karta hai aur SERPs (search engine result pages) me article achi ranking par khara nahi utarta toh bahut bura lagta hai.

Iske piche ka jo main reason hota hai woh hai keyword density. Actually hota kya hai ke aapke articles isilye badhya rank nahi bna pate kyuke aapne content me keywords ki limits ko toda (break) kiya hota hai.

Mere experience ke anusar keyword density 1% se 2.5% honi chahye. Matlab ke 200 words ki post me aapko 2 se 5 baar har keyword ka use karna chahye.

Isse jyada ya kam density use karne se content me keyword stuffing issue ayega. Jisse website ki search ranking par bad effect padne ke chances badh jate hai.

Bonus Tips

Ek badhya content likhne ke liye aapko post me focus keywords ka sahi jagah use karna ana chahye. Agar aap aisa karne me asafal rehte ho toh content likhne par ki hui menhat bekar chali jayegi.

I hope is post se aapko ek search engine optimized post likhne me bahut help milegi. Agar aapka koi swaal ya confusion hai toh comment karke puch sakte ho. Future me is site ki latest and unique articles ki jankari apne email box me pane ke liye aaj hi subscribe kare.


Post a Comment

और नया पुराने